Josh zamane mein, hai khamoshi mere andar
Bheed ka alam, hai tanhai mere andar
Jab dekhti hu un ajnabi aankhon mein shanasai
Barpa ho jata hai ek toofan mere andar
Darti hu zamane se, kahin loot na le
Insaan hu magar, hai maasoomiyat mere andar
Daudi chali jaati hu, manzil ki talaash mein
Dekha jo apna dil, to tha quraa’n mere andar
Kabhi yu ho ki mere lafz jaga jaayen chand zameero ko
AHMAD ye nadaan si, hai khwahish mere andar
No comments:
Post a Comment