rawan dawan hai ye kaarwan kaisa,
chala ja raha hai ye musafir kaisa..
jab manzil ki nahin hai khabar,
to phir raahon ka fasana kaisa..
khatm hona hai safar maut ke darwaaze par,
phir chain-o-sukun ko lutana kaisa..
bikhri hai khushbu phulon ki manind,
yahi hai tamanna to phir ghabrana kaisa..
kisi chalte hue bacche se poochiye,
gir k uthne mein hai maza kaisa..
chala gaya hai ahmad wo tujhe chodh kar..
to usey yaad kar, ye aansu bahana kaisa..
No comments:
Post a Comment